Monday, July 16, 2012

Jana hai dur bus ab jana hai dur tumse


Jana hai dur bus ab jana hai dur tumse,
bahut chaha, bahut saha humne,

bahut baar tuta haun, bahut baar manaya dil ko
socha ab hoga nahi ye agali baar,
Manane se hota hi kya hai,
Bus Bharam chalta kuch aur kadam hi to hai,

Baar baar keh gaye wo alvida hum ko,
Ilzaam bhi degaye hum pe wo,
Humne bhi maan liye sab ilzam unke,
Soch liya humnbe bhi, ke aata nahi mohabbat karna humko,

Par ab kitni baar aur sehte, kitna aur ilzaam lete hum
Wo apne mei khote  aur humey bhula dete,
keh jaate itna kuch humey wo aise ke,
chu liya ho kisi anjan ne unhe.

par thana hai is baar, ke na lenge ilzam aur na honge bandnaam,
Dikha denge unhen ke, khona huumey bhi aata hai,
bhulna na bhi sahi, chup rehna to humey bhi  aata hai

Jana hai dur bus ab jana dur tumse.

Tuesday, February 14, 2012

Hasti Hai Ankhen, phir bhi nami si hai

Hasti Hai Ankhen, phir bhi nami si hai
Tu hi hai charsu, Phir bhi kami si hai

Chalta Rahta Hai sama, Badaltey Hai Mausam
Lagta hai Zindagi, Phir bhi thami si hai

Ye To Nahi Ki Daaman Mein, Koi Khushi Nahi
Meley Hai Hazaaron, Phir bhi Ghumi Si Hai

Pighal Gaye Hai Armaan, Aansuon Mein Tap Kar
Palkon Pe Burf Kyun, Phir Bhi Jami Si Hai

Jaantey Hai Duniyaa, Mukammal Nahi Hoti
Dil Mein Ek Aarzu, Phir bhi Dabi Si Hai
--- Someone.

Tuesday, August 9, 2011

Khoya Khoya Rehta haun

Khoya Khoya Rehta haun,
Teri Yadon Se Ladta Rehta Huan.
Khoya Tujhe To Ab Soya Rehta haun,
Bus Teri Yadon Ki God Mei Mar Jana Chahta Haun.

Lada Tha Tujhse Mei Ye Soch Kar,
Mana Hi Logi Tum Apna Soch Kar,
Malum Na Tha Ye Teri Majubriyan,
Tod dalegi saath mera.

Fasle Mitani Ki Hod mei,
Huya Tha Diwana Mann Mera,
Par Kab Mita Daali
Milne ki Umeed sabhi

Reh Reh Kar Aya hai Aisa Dor
Mar Mar Ka Jiya hai baar baar humne,
Ab To Akhon mei Anso bhi na bache,
Ke Roya isbbaar humne itni baar.

Pathar Ho Jana Chahta Haun,
Bhawnayon Se Dur Ho Jana Chahta Huan,
Nadi Ke Paani Mei Ab Beh Jana Chahta Haun,
Ab Kinara Nahi,
Bus Samnder Mei Kho Jana Chahta Huan.

Friday, August 5, 2011

Ho Jayega Khatam Ye Dor dard ka bhi

Ho Jayega Khatam Ye Dor dard ka bhi,
Hogi tamana, bahone mei meri hi.
Chal do kadam aur thoda hi,
bacha hai safar bus jara hi.

Sunday, January 16, 2011

Payar ke kabil hum nahi..

Pyar ke kabil hum nahi..
fir bhi bewafa keh gayen unko
Wafai hum kar na paye.. Aur bewafa keh gaye unko
Pyar ki duhai dete hain hum aaj bhi
aur Pyar ko hi dusmani samjhe gaye hum

roye hum pyar ki liye kitne baar,
keh gaye janam ko bewafa kitni baar,
kyon rota hai 'Jitu' tu aaj,
Khood hi samjha tune khel ise ,
Hantho mei likha tune hi ye khoon
Kyon karta hai badnaam tu use aaj,

Pi kar hi sahi tune ,samjha hai khood ko aaj,
Ab bus bhi kar de ye silsila aaj yahin, isi waqt...
Badal le khud ko, warna ye uljhaa le legi jaan teri,

jaan jaaye ye nahi, par jina batter kyon karta hai uska

Khoosh na rakh saka mohbaat ko apni,
Kam se kam, jinda to chod ashquie ko apni...

Payar ke kabil hum nahi..

Payar ke kabil hum nahi..

Wednesday, January 12, 2011

Pucha ye sawal aaj fir humne khood se.

Aaj tuta dil fir se hamara,
na jaane kyon pyar ho jata hai humeh
Pucha ye sawal aaj fir humne khood se.

Nahi hai pyar kismat mei hamari,
na jaane kyon kistam se ladta huan mei

Kismat ne diya hai diwaron ka saath,
kuch meine banaya sharab ko saath,
Kush rehta huan diwaron mei aur daaru mei,
Fir bhi kyon dil baar-baar diwaron se paar jaata hai mera
Pucha ye sawal aaj fir humne khood se


Monday, June 7, 2010

Ehsahson ka khel hai pyar mohbbat,

Ehsahson ka khel hai pyar mohbbat,
warna jism duniya mei bahut hain,

Yadon ne gher rakha humey aapki
warna log to yahan bahut hain,

Apke saath bite kuch pal,
Zindagi ke bahut hasin pal hian,

Sambhala haun usi ne humey,
warna behke to hum bhi bahut the