Friday, February 26, 2010

Ehsaas hi tha kuch aisa unka

Jhalkta tha pyar harpal usmei,
Sunte the pyar har baat mei unki
Ehsaas hi tha kuch aisa unka,
Pyar kerne ke alawa chara kuch aur na tha,

Roka tha, samjhaya tha, khud ko kitni hi baar meine,
Par dil ruka to bus, Ikrare mohbbat karene k baad,

Kabu na reh pata tha,
Jab paate the unhen karte intzaar,
bhula mei ab taq nahi wo mulaqaat ki pehli raat,
Dekhta reh jaata tha unhen,
Jab wo sharmate the baithe paas mere,

Gujare the kuch baras saath unke,
Kiyen thi kitne hi baar ankhen chaar,
Uf ye ehsaas hi kuch aisa hai,
Kheench le jata hai unke darbaar,

Jaane kya ho chala hai unhen ab,
Dur dur se hote jaate hian,
Kuch hai mann mei unke,
bata ab humey hi paate nahi hain

Najar lag gayi ho jamane ki jaise
Par chupate bhi kaise,
chehra khila tha, bus unke aane ke baad

Ehsaas hi tha kuch aisa unka

Suna tha tanhiyon ke baare mei

Suna tha tanhahiyon ke baare mei,
Sune the kitne geet inke baare mei,
dekhin thin jaane kitni hi filmen inke baare mei

Bus suna aur dekha tha tanhayion ko bus kisse kahaniyon mei,
Ehsaas ab taq na tha in tanhayion ka.

Jab chuya in tanhayion ne mujhe,
Tab jana k hoti bahut bedard ye tanhayian hain,

Na khud hi dikhti hain aur, na dekhne deetin hain kisi aur ko
Nigahen khuli rehti hain, dimaad soya rehta hai.
Har pal takte hian, Deewaron aur darwazon ko
Intazaar rehta hai har pal jaane kiske aane ka

Baaten kar lete hain deewaron se, kitabon se,
ye fir yun hi likh dete hain tanhayion ko kagaz ke kuch tukdon pe

Monday, February 8, 2010

Kuch Kami si mehsus hoti hai, Dil mei mujhe

Kuch kami si mehsus hoti hai Dil mei mujhe
Pass hai sab mere m Fir kyon luti duniya lagti hai mujhe

Ehsason ko basaye rakha hai dil mei meine,
Fir kin ehsason ki kami lagti hai dil mei mujhe

Pyar milta hai par kyon kho jata hai mera,
aur kyon lagta hai jaise mila hi na ho wo mujhe

Rab rutha ho jaise mera,
Ya fir kami rab Ke iman mei lagti hai mujhe,

Rota nahi huan, hansta nahi haun,
Kehta nahi huan, sunta nahi haun,
Chal deta haun wahan
jahan le jaati ho kismat,
Sawal ab rab se bhi karta huan mei.

Hans padta huan halate jahan dekh khud ka,
ke shore bhi sannaata samjh aata hai mujhe

Chup chup se, chupke se chupke se biathe hain humse koi,

Chup chup se, chupke se chupke se biathe hain humse koi,
Chalo aacha hai, bharam to tuta apna koi,

Kat jayenge ye din ye raten bhi Chup chup k chup chup se
Mana lenge dil apne hum, jab malum hai ki alag hain raste unke,

Jab jab aayegi yaad unki, chupa lenge hum apne aap ko ,
tanhyion ke andheron mei,
suna hai tanhyion mei hi milti, sukun-o-araam pyar karne walon ko.

Chup chup se, chupke chupke se, Kat jeyegi Zindagi bhi unke bina,
kyonki yahi raza hai unke, dil-o-darbaar ki

Malal bus itna hai ki, na deedar kar paaye hum unka
Sareyaam na sahi , par na Chup chup ke, na chup chup

Ek khaab mera tammna banti jaati hai meri!

Ek khaab mera tammna banti jaati hai meri!

Dekhte hain jinhe roz khyabon mei hum,
Hogi mulaqaat unse bhi kabhi to rahon mei,

Soch hum Mulqaat ko, sihar jata haun,
Halat hogi buri bahut, jab honge wo paas mere

Pehle to jee bhar kar sihaar lunga cheher ko unke
Busa lunga tasveer dil k har kone mei unki

Julfon se khelunga unki,
so jaunga sir rakh god mei unki,
Kuch pal to jannat ghum aaunga unki

Chumoga hantho ko, chum lunga galon ko unki
Aur hontho se pee kar, ehsason ko kudh mei basa lunga unki

Seene se bhar lunga, aur bus jaunga sanson mei unki
dur ho bhi jayen kabhi wo, to bhi sansen mehsus hon unki,

Rok nahi pata huan jajbaton ko jaane kyon nahi,
Ek khayab ki mehbuba ko, hakitat mane jaata hun kahin,

Ek khyaab mera tammna banti jaati hai meri!
Ek khyaab mera tammna banti jaati hai meri!