Wednesday, March 31, 2010

Jab milon ka fasla tha,
lagta tha k bus pass hi baithe hon wo mere,
Aaj kuch kadmon k faasle par hain wo,
par lagta hai milon hon wo door mujhse.

Tham na chahta tha hanth mei uska,
jiski rekhayon mei mera naam na tha
Ankhen bhi nam ho rahi hain ye jaan kar ke,
ab Unka khayal kanra bhi bhi gunah hogaya,

Aankho ka samnder mei jaise tufaan aaya ho,
na rukti hai aur na hi bandh hotin ye ankhen,
Ankhon ki har boond kehti hai mujhse,
pyar ki moti huan mei, sambhalo jara mujhe.


Cheen na le jamana tumko mujhse,
Isiliye manga karte se duan mei khuda se,
Mujhe kya khaber thi, khuda hi mera dushman hoga.

Sunday, March 28, 2010

Ashquon ko bulate hain hum aaj

Ashquon ko bulate hain hum aaj
ke yaad na aaye ab unki,
Suna hai yadon se hamari,
Mushkil hoti hain rahen unki.

Kiye the vaade, rehna hai umer bhar,
Tum na bhi mile, to tumhari nishani bhar ke saath,
Ab umerbhar ka hi ye faisla,
Ke yadon taq ko dur karna hai aaj.

Is baar na mil payogi Tu ye meri jaan,
ye baat khoob samjhte hain hum aaj,
Par na samjhi karne ka maza kya hai,
Bus ye baat hum hi samjhte hain aaj.

Pyar par tere Tinnke sa bhi shak nahi humko,
Aitbaar khud se jyada karte hain aaj,
Ye dhokha uper waale ka hai ye meri jaan,
Varna huk thujh par to,Bus mera hota aaj.

Monday, March 22, 2010

Pass aaye wo is kader mere

Pass aaye wo is kader mere
ke bhool gaya mei khud ko bhi,

Ab yaad kuch aur rehta nahi
Aur deedar bhi unka hota nahi,

Is hi baat se darta tha mei,
Aur ulfat se dur rehta tha mei,

Ab ulfat mei aa hi gaya huan to
Sochta huan ashiyana bana hi lun ismei,

Ashiyane ko saja lunga yadon se unki,
Bistar saja lunga ahquon se apni,

Hogi na mulaqaat unse ab meri,
Is baat ko I love you samjh lunga unki

Tuesday, March 2, 2010

sab kuch naya naya sa lagta

sab kuch naya naya sa lagta,
har chij acchi lagti hai,

Ab taq mehsus huya na tha aisa kuch,
aaj kyon aisa sab kuch lagta hai

thik se jhanka khud ko jab meine
ye asar to bus ukse aane ki khaber ka hai,

lagta ab bhi sapna sa hai ye
dar lagta hai ki tut na jaye kahin,
Isliye ankhe band kiye soya sa rehta haun,

Nind bhi dushman ho chali hai in dino,
raton mei jaga kar intzaar karwati hai mujhe,
jaise subah ki kiran ki tarah wo mujhe chune wali ho,

hansta haun, kabhi ghabrata huan,
abhi ye haal sirf unke aane ki khaber se hai,
jab honge wo saher mei mere,
fir kya hoga haal mera,
ye soch sahem jata haun

Darta to mei kisi se nahi,
par fir bhi dil ki halchal bus badti jaati hai,

sochna bhi nahi chahta unke aane ki khaber,
darta haun khud ki najar hi na lag jaaye kahin,
par iske alawa jahen mei tufaan koi bhi nahi

Sab kuch naya naya sa lagta