Monday, July 16, 2012

Jana hai dur bus ab jana hai dur tumse


Jana hai dur bus ab jana hai dur tumse,
bahut chaha, bahut saha humne,

bahut baar tuta haun, bahut baar manaya dil ko
socha ab hoga nahi ye agali baar,
Manane se hota hi kya hai,
Bus Bharam chalta kuch aur kadam hi to hai,

Baar baar keh gaye wo alvida hum ko,
Ilzaam bhi degaye hum pe wo,
Humne bhi maan liye sab ilzam unke,
Soch liya humnbe bhi, ke aata nahi mohabbat karna humko,

Par ab kitni baar aur sehte, kitna aur ilzaam lete hum
Wo apne mei khote  aur humey bhula dete,
keh jaate itna kuch humey wo aise ke,
chu liya ho kisi anjan ne unhe.

par thana hai is baar, ke na lenge ilzam aur na honge bandnaam,
Dikha denge unhen ke, khona huumey bhi aata hai,
bhulna na bhi sahi, chup rehna to humey bhi  aata hai

Jana hai dur bus ab jana dur tumse.

Tuesday, February 14, 2012

Hasti Hai Ankhen, phir bhi nami si hai

Hasti Hai Ankhen, phir bhi nami si hai
Tu hi hai charsu, Phir bhi kami si hai

Chalta Rahta Hai sama, Badaltey Hai Mausam
Lagta hai Zindagi, Phir bhi thami si hai

Ye To Nahi Ki Daaman Mein, Koi Khushi Nahi
Meley Hai Hazaaron, Phir bhi Ghumi Si Hai

Pighal Gaye Hai Armaan, Aansuon Mein Tap Kar
Palkon Pe Burf Kyun, Phir Bhi Jami Si Hai

Jaantey Hai Duniyaa, Mukammal Nahi Hoti
Dil Mein Ek Aarzu, Phir bhi Dabi Si Hai
--- Someone.