Wo Hain kuch is kader khoobsurat,
Ke ruk jaaye har nigah bus un par,
Dekhte hain sab unhen aise,
Ke pyase ko mil gaya ho sheetal jharna koi,
Ankhen unki hon nila samander,
Honth jaise hon raseela sarbat,
baten unki hon jaise may ki pyale,
hum to bus ab Doobte jaate unki madhusala mei
Dhakte hain badan ko is kader wo,
Jaise chupaya ho june ki dhup se kisi ne khud ko,
Aur jab dikhayen chehra wo to,
Lagta hai January ki sard raat mei nikla purnima ka chand ho,
Bhikhri hon Julfen chehre par jab unki
Lagta hai chand ko chupa raha ho chanchal badal koi
Aur jaala raha ho mujhe, baar-baar choo kar unke galon ko
Something still missing.. may be I'll fill it later
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment