Suna tha tanhahiyon ke baare mei,
Sune the kitne geet inke baare mei,
dekhin thin jaane kitni hi filmen inke baare mei
Bus suna aur dekha tha tanhayion ko bus kisse kahaniyon mei,
Ehsaas ab taq na tha in tanhayion ka.
Jab chuya in tanhayion ne mujhe,
Tab jana k hoti bahut bedard ye tanhayian hain,
Na khud hi dikhti hain aur, na dekhne deetin hain kisi aur ko
Nigahen khuli rehti hain, dimaad soya rehta hai.
Har pal takte hian, Deewaron aur darwazon ko
Intazaar rehta hai har pal jaane kiske aane ka
Baaten kar lete hain deewaron se, kitabon se,
ye fir yun hi likh dete hain tanhayion ko kagaz ke kuch tukdon pe
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment