Friday, February 26, 2010

Ehsaas hi tha kuch aisa unka

Jhalkta tha pyar harpal usmei,
Sunte the pyar har baat mei unki
Ehsaas hi tha kuch aisa unka,
Pyar kerne ke alawa chara kuch aur na tha,

Roka tha, samjhaya tha, khud ko kitni hi baar meine,
Par dil ruka to bus, Ikrare mohbbat karene k baad,

Kabu na reh pata tha,
Jab paate the unhen karte intzaar,
bhula mei ab taq nahi wo mulaqaat ki pehli raat,
Dekhta reh jaata tha unhen,
Jab wo sharmate the baithe paas mere,

Gujare the kuch baras saath unke,
Kiyen thi kitne hi baar ankhen chaar,
Uf ye ehsaas hi kuch aisa hai,
Kheench le jata hai unke darbaar,

Jaane kya ho chala hai unhen ab,
Dur dur se hote jaate hian,
Kuch hai mann mei unke,
bata ab humey hi paate nahi hain

Najar lag gayi ho jamane ki jaise
Par chupate bhi kaise,
chehra khila tha, bus unke aane ke baad

Ehsaas hi tha kuch aisa unka

No comments: